Train ka safar ...
Do alag-alag shaher mein rahte hue, hamari internet par mulakat hui. Baton ka silsila chalta raha aur ek din mujhe pata chala ke vo punjab se ahemdabaad ja rahi hai. Us ki train ko mere shahar - Delhi se hi guzarna tha. Raat ko karib sade-no baje (9.30) train - Sarvodya express Nai Delhi ke platform par aani thi. Main usse milne ke liye bahut hi utsahit tha. Aakhir, hamara baton ka silsila kai maheeno se jo chal raha tha.

Ghar par, apne dost ke saath padne ka bahana bana ke, main usse milne ke liye chala gaya. Railway station par theek sade-no baje pahuch ke, main train ka intzaar karnae laga. Train (sarvodya express), apne samay se, adha ghanta late thi. Usse milne ke chah mein samay jaise tham sa gaya tha. Har ek pal, main usi ke khyaloon mein khoya hua tha. Train late hone ki vajah se ab das baj chuke the. Akhirkaar, train station par aayi. Ab mein betaabi se usko dhoond raha tha. Uske bataye hue dabbe par mein chad gaya aur us ki seat ki tarf chalne laga. Train ke us compartment main wo akeli bathi thi. Aisa lag raha tha ki intzaar ki wo ghadiya, us par bhi bhari thi. Us ne mujhe dekte hi, mera naam liya. Aur, maine us ka. Ham dono, pehli baar us train ke dibbe mein mile.

Kai yatrion ke Delhi utar jane se, train kafi khali ho gayi thi. Maine milte hi use gale laga liya. Aisa lag raha tha ki main use batana chah raha tha ki maine usko kitna miss kiya. Ham log, kafi der tak, ek dusre ke gale se age rahe. Train ko station par kariban adha ghanta rukna tha. Aur main yeh adha ghanta ukki bahon mein hi bitana chata tha. Soch raha tha ki na jane phir kab hamari mulakat hogi. Yeh bat uske bhi man mein thi, shayad isi liye us ne mujhe apne se bilkul alag nahi hone diya. Jo waqt kuch der pahle kat nahi raha tha, wo ab thamne ko tayar nahi tha. Lag raha tha ki samay apni gati se bahut tez chal raha hai. Aur phir train ke chalne ka samay ho gaya. Mujh se jaise us ka saath choda hi nahi ja raha tha. Main chahta tha ki train vahin, station par, ruk jaye. Mera train se niche utarne ka bilkul bhi man nahi tha. Usi waqt maine fasila kiya ki main us ke saath hi rahunga aur agle station par utar joonga. Mera khayal tha ki agla station - Faridabad hoga.Train mein Delhi se faridabad ka safar kareeban ek khante ka tha. Yeh jante hue bhi ki main bina ticket hoon, mein us ke saath train ke us safar ka anand lene ka faisla kiya. Aur train delhi station se choot gayi ...

Vo mare is fasle se bahut khush thi par use meri chinta bhi thi. Maine use bharoosa dilaya ki mujhe koi pareshani nahi hoogi. Ham dono, train ke us khali compartment mein, ek dusre ka haath pakad kar baat kar rahe the. Wo baat karte hue mere haath ko sahla rahi thi. Dheere-dheere wo mere kareeb aayi aur us ne apne kapkapate hoton ko mere hoton par rakh diya. Aisa lag raha that ki wo mujhe us ke saath rukne ka inaam de rahi thi. Dil mein without ticket hone ke dar ko bhula kar, ab mein us ke komal hoton ko choom raha tha. Mere dono haath us ke ballon se khel rahe the aur mein us ko kiss kar raha tha. Ham dono, ek dusre ke saath kai minutes tak jude rahe. Mera haath bhi ab us ke badan ko har jagah sparsh kar raha tha. Pyar ka wo ahsaas mujhe aaj tak yaad hai...

Train ki gati ab bahut tez ho chuki thi. Maine train ki khidki se bahar dekha to paya ki Faridabad staiton aane wala hai. Par yeh kya, train to Faridabad station par ruki hi nahi. Us ki gati to aur tez hoti ja rahi thi. Main hairaan tha aur train ka wo suhana safar ab mujhe chinta mein daal raha tha. Mujhe chinta mein dekh kar ab wo bhi ghabrane lagi thi. Maine saath ke compartment mein ja kar pucha ki yeh train Faridabad station par kyoon nahi ruki. Mujhe pata chala, ki Delhi station se yeh train Sarvodya express se tabdeel ho kar - Jammu Tawi superfast express ban jati hai aur ab yeh kisi station par nahi rukegi. Yeh sun kar mere hosh hi ud gaye. Raat ko der ho jane se aur without ticket hone ki vajah se, main bahut ghabrane laga tha. Us waqt mera sara pyar rafoo-chakkar ho chuka that aur mujhe sift ghar jane ki chinta ho rahi thi. Kuch, ek ghante ke baad, Mathura staion aaya. Train wahan ruki aur main bahar aaya. Maine apni dost ko ek akhri baar gale lagaya, us se vidai li aur use yakeen dilaya ki main aaram se ghar chala joonga. Mujhe aaj bhi train ki khidki par us ka muskurata hua chera yaad hai.

Raat adhi beet chuki thi. Maine vapsi ki ticket li aur agli train mein baith gaya. Mujhe yaad nahi ki wo kaun se train thi par wo har station par ruk rahi thi. Shayad, main ek passenger train mein baith gaya tha. Raste ke sabhi staion jaise- Govind Pur, Chhata, Kosi, Palwal, BallabGhar aur Faridabad par wo train ruki. Main subah ke 6 baje ghar pahucha. Sari raat na sone ke karan, main thak gaya tha par mere dil me usse milne ki mithe-mithe yadeen thi. Train ka wo safar main kabhi nahi bhoolunga...



Spicy Chapters...