kamar ke dard ki anokhi dava ...
Subah utha to paya ki kamar mein kafi dard hai. Par karta kya, us din jana jo tha. Dentist se appointment jo li hui thi. Jaise taise kar ke, apni kamar ke dard ko bhula kar, main dentist ke paas jane ko tayaar hua. Dard kam karne ke liye, maine ek dava bhi le li thi. Yeh meri dentist ke saath pahli mulakaat thi.

Doctor ke clinic par pahuch kar maine bathne ke liye ek araamdayak jagah dhoondi jahan par main apni kamar ko rest de sakoon. Clinic pe zada bheed nahi thi. Mera number jaldi hi aa gaya. Reception par bathi larki ne mera naam le ke bulaya aur kaha ki madam mujhe andar bula rahi hai. "Madam" - yeh shabd sun ke mein thora hairaan nua. Kyonki, yeh appointment mere dost ne fix ki thi, isliye main yeh nahi janta tha ki dentist ek aurat hai. Kher, main apni kamar pakad kar, kisi tarah darwaze par pahucha, aur pahuch ke bola - Madam, may I come in?

Kuch, meri hi umar ki hogi wo ladki (dentist). Laal salwar kameez, zulfen kuch bikri hui si and kaam mein masroof. Usne, sirf apni nazre utha kar mre taraf dekha aur boli, “yes please, come in”. Ab main ek behad hi khoobsoorat ladki ke saath, uske hi kamre mein, bilkul akeela tha. "aap please late jaiye", us ne kaha. Main yeh sun kar thora nurvous hua aur seat par late gaya. Ab wo gloves pahan rahi thi aur upar ki light adjust kar rahi thi. Main, lete lete us ki sundarta ko nihaar raha tha. "Aap bahut hi choti umar mein docrot ban gayi", maine kaha. Is baat par wo thora muskarayi aur kuch nahi boli. Kuch der ki khamoshi ke baad, maine phir poocha ki mujhe “dard to nahi hoga”. Is par wo boli, “nahi aap ghabraye nahin”. Docror ke yah baat sun kar mujhe kuch rahat aayi.

Ab mera muh khula hua tha aur wo doctor mujh par kaam kar rahi thi. Main us ke bahut hi kareeb tha, itna kareeb ki us ki sasoon ko mahsoos kar sakta tha. Wo apna kaam puri imandari se kar rahi thi par mare dil mein to kuch aur hi chal raha tha. Main leta leta, us ki wo badi-badi akhen dekh raha tha. Uske aakhen sach-much mein bahut sundar thi. Madham roshni aur thori madhoshi mein, wo aur bhi khoobsoorat lag rahi thi. Uska sharer baar-baar mujhe choo raha that. Mujhe us ka har sparsh mahsoos ho raha tha. Us waqt main ek ajeeb si madhoshi mein tha. Main bus us ke saath rahna chata tha aur us ke sparsh ka bhapoor anand lena chahta tha.

Akhirkar, us ke saath bitiye hue samay ki samapti hui. Usne apna haath de kar mujhe uthne mein sahayata ki aur pucha, “aap kaisa mahsoos kar rahe hain”. Maine uska shukriya ada karte hue kaya, “bahut achha”.

Main uski yadoon mein khooya hua ghar pahucha. Sara din usi ke methe-methe khayoloon main raha. Raat ko sone se pahle main use yaad kar raha tha aur achanak mujhe mahsoos hua ki main apne kamar ke dard ke bare mein to bhool hi gaya hoon. Mujhe yakeen nahi ho raha tha ki ek meethi se mulakaat mere kamar ke dard ki dava ban jayegi….


Spicy Chapters...