Kissa pehle pehle pyar ka ...
Ghar ke hallaat hi kuch aise the ki adha ghar kiriye pe dena pada. Aur kismat dekho ki ghar ko kiriye pe lene aayi do ladkiyan. Dono bahne thi. Badi bahen bahed hi khoobsoorat thi aur college mein padti thi. Choti abhi school mein hi thi. Students hone ki vajah se hamne bhi jayada poochtaach nahi ki.

Mein un dino college mein pada karta tha. Us umar ke kise bhi ladke ki rtarah, meri bhi iccha the ki mein dunya jeet loon. Apne naye padosi ko dekh ke bahut utsahit tha par baat karne ki kabhi himmat hi nahi hui. Lagta tha ki koi aur larka tha uski zindigi mein. Apne man ko baar baar yeh kah ke samjhata tha ki yaar, "wo tujh se badi hai aur wo kahan aur mein kahan. Khoobsoorti aisi ki bas dekhte hi banti the.
Dheere dheere mein us ke college aane-jane ka time, man hi man mein note karne laga. Jab wo aati, tab mein hi main door kholta. Yeh silsala bahut dino tak chalta raha. Ab tak us ne bhi notice karna shuru kar diya ki mein use har roz dikhta hoon par kabhi zada baat nahi dkarta. Us ka bhi interest mere me bada. Kuch samay ke baad hamiri baat zayada hone lagi aur mein us ke aur kareeb aa gaya. Ghanto us se baat hoti rahti aur ab mujhe usse uske boyfriend ke bare mein sunana bhi bura nahi lagta tha... chota tha par mujhe koi shak nahi tha ki mujhe us larki se behad pyar ho gaya hai. Etna zayada ki aaj, 15 saal ke baad bhi us ke bare mein sochta hoon to ek bsundar se ahsaas mein ghir jaata hoon.

Din beetate gaye aur phir wo lahme aaye jab ham der raat tak baat karte the. August ki ek raat, hum chat par saath bethe the. Us din bahut halki baarish ho rahi thi aur kisi karan se wo bahut udas thi. Lag raha tha ki uska boyfriend se kisi baat pe jhagda hua tha. Mein us ke saath tha us ka hum-saathi ban ke … uske dukh se dukhi. Na jane kab yeh hua ki bas wo baat karte karte ro padi. Us ko is haal mein dekhna mere liye bahut hi kathin tha. Wo mere kandhe par sar rakh ke rone lagi. Meine bhi use pyaar se apni baho mein le liya. Na jaane wo kab tak roi aur kab chup hui....par maine use apni bahon se bahar nahi hone diya. kuch is tarah hua ki us ka chehra merae haatho me tha aur hum ne ek dustre ko pyar karna shuru kar diya. Parta nahi kitni der tak mein use choomta raha aur kitni baar kehta raha - I reallylove you.

yeh silsila kai dino tak chalta raha. Ab mein ek bahut hi khoobsarat ladki ka un-official boyfriend tha. Zindigi kitni haseen lag rahi thi. Chahta tha ki sari duniya ko bataoon ki - I am in love. Par har baar thahar jata tha. ham log aur bhi kareeb aa rahe the. Meri duniya mein ab sirf wo hi thi. Meri zindagi ab us ke bina bemani thi. Usko paana aur us ke saath sari zindgi bitana hi mera sapna ban gaya tha. Ek din mere ghar wale shadi attend karne shahar se bahr gaye. Hum dono jante the ki us raat ham zaroor milenge. Phir raat hui....

Der raat ko, wo chupke se mere kamre me aayi. Hamesha ki tarah, maine use smooch kiya aur use bataba ki aaj maine us ko kitna miss kiya. Is waqt hum dono bilkul akale the. Hum dono hi chahte the ki hum ek dusre mein sama jayen. Ab aur intazaar mushkil tha... ek aag jo kai dino se jal rahi thi us ko shaant karne ka samay aa gaya tha. Hum dono ek dusre ki bahon mein lipat chuke the. Hame alag karna ab sambhav nahi tha. Wo mere jivan ki pahli raat thi jab mein apne pyaar ke saath tha. Hum puri raat nahi soe ..bas ek dusre ko pyar karte rahe. Aisa lag raha tha ki raat khatam ho jayegi par pyar nahi. Wo ahsaas, us ke komal honth aur ka sundar badan, mein kabhi nahi bhool sakta.

Us ke baad mere jivan mein aisi kai raaten aayi. 6 Maheene ham logo ne saath betaye aur phir ek aisa din bhi aaya ki use hamara ghar choor ke jaana tha. Us samay mujhe ahsaas hua ki mein kya khoo raha hoon. Meine bahut kosish ki par mein use rok nahi paaya. Us ke baad ham kabhi nahi mile...

Aaaj, 15 saal ke baad bhi us ke saath betiye hul pal mujhe aise yaad hai jaise kal hi ki baat ho. Wo din kabhi laut ke nahi aayenge ... shayad maine hi koi galti ki thi


Spicy Chapters...